Ham To Jaise Wahan Ke The Hi Nahin
ہم تو جیسے وہاں کے تھے ہی نہیں
हम तो जैसे वहाँ के थे ही नहीं
Ghazal
1 min readہم تو جیسے وہاں کے تھے ہی نہیں
بے اماں تھے اماں کے تھے ہی نہیں
ham to jaise wahaan ke the hi nahin
be-amaan the, amaan ke the hi nahin
ham ke hain teri daastaan yak-sar
ham teri daastaan ke the hi nahin
un ko aandhi mein hi bikharnaa tha
baal-o-par aashiyaan ke the hi nahin
ab hamaara makaan kis ka hai
ham to apne makaan ke the hi nahin
ho teri khaak-e-aastaan pe salaam
ham tere aastaan ke the hi nahin
ham ne ranjish mein ye nahin socha
kuchh sukhan to zabaan ke the hi nahin
dil ne daala tha darmiyaan jin ko
log wo darmiyaan ke the hi nahin
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane waale yahaan ke the hi nahin
हम तो जैसे वहाँ के थे ही नहीं
बे-अमाँ थे, अमाँ के थे ही नहीं
हम कि हैं तेरी दास्ताँ यक-सर
हम तेरी दास्ताँ के थे ही नहीं
उन को आँधी में ही बिखरना था
बाल-ओ-पर आशियाँ के थे ही नहीं
अब हमारा मकाँ किस का है
हम तो अपने मकाँ के थे ही नहीं
हो तेरी ख़ाक-ए-आस्ताँ पे सलाम
हम तेरे आस्ताँ के थे ही नहीं
हम ने रंजिश में ये नहीं सोचा
कुछ सुख़न तो ज़बाँ के थे ही नहीं
दिल ने डाला था दरमियाँ जिन को
लोग वो दरमियाँ के थे ही नहीं
इस गली ने ये सुन के सब्र किया
जाने वाले यहाँ के थे ही नहीं
اب ہمارا مکان کس کا ہے
ہم تو اپنے مکاں کے تھے ہی نہیں
اس گلی نے یہ سن کے صبر کیا
جانے والے یہاں کے تھے ہی نہیں

One of the most prominent and unconventional modern Urdu poets, Jaun Elia captured the hearts of the masses through his stark vulnerability, radical disillusionment, and revolutionary poetic voice.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.