Apne Sab Yaar Kaam Kar Rahe Hain
اپنے سب یار کام کر رہے ہیں
अपने सब यार काम कर रहे हैं
Ghazal
1 min readاپنے سب یار کام کر رہے ہیں
اور ہم ہیں کہ نام کر رہے ہیں
Apne sab yaar kaam kar rahe hain
Aur hum hain ke naam kar rahe hain
تیغ بازی کا شوق اپنی جگہ
آپ تو قتل عام کر رہے ہیں
Tegh-baazi ka shauq apni jagah
Aap toh qatl-e-aam kar rahe hain
तेग़-बाज़ी का शौक़ अपनी जगह
आप तो क़त्ल-ए-आम कर रहे हैं
داد و تحسین کا یہ شور ہے کیوں
ہم تو خود سے کلام کر رہے ہیں
Daad-o-tehseen ka yeh shor hai kyun
Hum toh khud se kalaam kar rahe hain
ہم ہیں مصروف انتظام مگر
جانے کیا انتظام کر رہے ہیں
Hum hain masroof-e-intezaam magar
Jaane kya intezaam kar rahe hain
ہے وہ بے چارگی کا حال کہ ہم
ہر کسی کو سلام کر رہے ہیں
Hai woh be-chaargi ka haal ke hum
Har kisi ko salaam kar rahe hain
ایک قتالہ چاہیے ہم کو
ہم یہ اعلان عام کر رہے ہیں
کیا بھلا ساغر سفال کہ ہم
ناف پیالے کو جام کر رہے ہیں
Kya bhala saaghar-e-sifaal ke hum
Naaf-e-pyaale ko jaam kar rahe hain
क्या भला साग़र-ए-सिफ़ाल कि हम
नाफ़-ए-प्याले को जाम कर रहे हैं
ہم تو آئے تھے عرض مطلب کو
اور وہ احترام کر رہے ہیں
Hum toh aaye the arz-e-matlab ko
Aur woh ehtiraam kar rahe hain
نہ اٹھے آہ کا دھواں بھی کہ وہ
کوئے دل میں خرام کر رہے ہیں
Na uthe aah ka dhuwaan bhi ke woh
Kooye-dil mein khiraam kar rahe hain

One of the most prominent and unconventional modern Urdu poets, Jaun Elia captured the hearts of the masses through his stark vulnerability, radical disillusionment, and revolutionary poetic voice.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.