Hai Fasīleñ Uthā Rahā Mujh Meiñ

ہے فصیلیں اٹھا رہا مجھ میں

है फ़सीलें उठा रहा मुझ में

Ghazal

1 min read

ہے فصیلیں اٹھا رہا مجھ میں
جانے یہ کون آ رہا مجھ میں

Hai fasīleñ uthā rahā mujh meiñ
Jāne yeh kaun ā rahā mujh meiñ

है फ़सीलें उठा रहा मुझ में
जाने यह कौन आ रहा मुझ में

جونؔ مجھ کو جلا وطن کر کے
وہ مرے بن بھلا رہا مجھ میں

Jaun mujh ko jilā-watan kar ke
Woh mere bin bhalā rahā mujh meiñ

जौन मुझ को जिला-वतन कर के
वह मिरे बिन भला रहा मुझ में

مجھ سے اس کو رہی تلاش امید
سو بہت دن چھپا رہا مجھ میں

Mujh se us ko rahī talāsh-e-umīd
So bahut din chhupā rahā mujh meiñ

मुझ से उस को रही तलाश-ए-उमीद
सो बहुत दिन छुपा रहा मुझ में

تھا قیامت سکوت کا آشوب
حشر سا اک بپا رہا مجھ میں

Thā qayāmat sukūt kā āshob
Hashr sā ek bapā rahā mujh meiñ

था क़यामत सुकूत का आशोब
हश्र सा एक बपा रहा मुझ में

پس پردہ کوئی نہ تھا پھر بھی
ایک پردہ کھنچا رہا مجھ میں

Pas-e-parda koī na thā phir bhī
Ek parda khinchā rahā mujh meiñ

पस-ए-पर्दा कोई न था फिर भी
एक पर्दा खिंचा रहा मुझ में

مجھ میں آ کے گرا تھا اک زخمی
جانے کب تک پڑا رہا مجھ میں

Mujh meiñ ā ke girā thā ik zakhmi
Jāne kab tak padā rahā mujh meiñ

मुझ में आ के गिरा था इक ज़ख़्मी
जाने कब तक पड़ा रहा मुझ में

اتنا خالی تھا اندروں میرا
کچھ دنوں تو خدا رہا مجھ میں

Itnā khālī thā andarūñ merā
Kuchh dinoñ to khudā rahā mujh meiñ

इतना ख़ाली था अंदरूँ मेरा
कुछ दिनों तो ख़ुदा रहा मुझ में


Jaun Elia
Jaun Elia1931–2002

One of the most prominent and unconventional modern Urdu poets, Jaun Elia captured the hearts of the masses through his stark vulnerability, radical disillusionment, and revolutionary poetic voice.

View Full Profile →

← home

Comments

Loading comments…