Ye Aur Baat Hai Tujh Se Gila Nahin Karte
یہ اور بات ہے تجھ سے گلا نہیں کرتے
ये और बात है तुझ से गिला नहीं करते
Ghazal
1 min readیہ اور بات ہے تجھ سے گلا نہیں کرتے
جو زخم تو نے دیے ہیں بھرا نہیں کرتے
Ye aur baat hai tujh se gila nahin karte
Jo zakhm tu ne diye hain bhara nahin karte
Hazaar jaal liye ghoomti phire duniya
Tere aseer kisi ke huwa nahin karte
Ye aainon ki tarah dekh-bhaal chahte hain
Ke dil bhi tootein to phir se juda nahin karte
Wafa ki aanch sukhan ka tapaak do un ko
Dilon ke chaak rafu se sila nahin karte
Jahan ho pyaar ghalat-fehmiyan bhi hoti hain
So baat baat pe yun dil bura nahin karte
Hamein hamari anaayein tabaah kar dein gi
Mukaalme ka agar silsila nahin karte
Jo hum pe guzri hai jaanaan woh tum pe bhi guzre
Jo dil bhi chaahe to aisi dua nahin karte
Har ek dua ke muqaddar mein kab huzoori hai
Tamaam ghunche to Amjad khila nahin karte
ये और बात है तुझ से गिला नहीं करते
जो ज़ख़्म तू ने दिए हैं भरा नहीं करते
हज़ार जाल लिए घूमती फिरे दुनिया
तिरे असीर किसी के हुआ नहीं करते
ये आईनों की तरह देख-भाल चाहते हैं
के दिल भी टूटें तो फिर से जुड़ा नहीं करते
वफ़ा की आँच सुख़न का तपाक दो उन को
दिलों के चाक रफ़ू से सिला नहीं करते
जहाँ हो प्यार ग़लत-फ़हमियाँ भी होती हैं
सो बात बात पे यूँ दिल बुरा नहीं करते
हमें हमारी अनाएँ तबाह कर देंगी
मुकालमे का अगर सिलसिला नहीं करते
जो हम पे गुज़री है जानाँ वो तुम पे भी गुज़रे
जो दिल भी चाहे तो ऐसी दुआ नहीं करते
हर इक दुआ के मुक़द्दर में कब हुज़ूरी है
तमाम ग़ुन्चे तो अमजद खिला नहीं करते

A legendary Urdu poet, prominent dramatist, and cultural icon, Amjad Islam Amjad captured the hearts of millions across the subcontinent through his deeply lyrical poetry and groundbreaking television screenplays.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.