Falak Karne Ke Qaabil Aasmaan Hai
فلک کرنے کے قابل آسماں ہے
फ़लक करने के क़ाबिल आसमाँ है
Ghazal
1 min readفلک کرنے کے قابل آسماں ہے
کہ یہ پیرانہ سر جاہل جواں ہے
Falak karne ke qaabil aasmaan hai
Ke yeh peeraana sar jaahil jawaan hai
گئے ان قافلوں سے بھی اٹھی گرد
ہماری خاک کیا جانیں کہاں ہے
Gaye un qaafilon se bhi uthi gard
Hamaari khaak kya jaanein kahaan hai
بہت نا مہرباں رہتا ہے یعنی
ہمارے حال پر کچھ مہرباں ہے
Bahut na mehrbaan rehta hai yaani
Hamaare haal par kuchh mehrbaan hai
ہمیں جس جائے کل غش آ گیا تھا
وہیں شاید کہ اس کا آستاں ہے
Hamein jis jaaye kal ghash aa gaya tha
Waheen shaayad ke us ka aastaan hai
مژہ ہر اک ہے اس کی تیز ناوک
خمیدہ بھوں جو ہے زوریں کماں ہے
Mizha har ik hai us ki tez naawak
Khamida bhon jo hai zoren kamaan hai
मिज़ा हर इक है उस की तेज़ नावक
ख़मीदा भों जो है ज़ोरें कमाँ है
اسے جب تک ہے تیر اندازی کا شوق
زبونی پر مری خاطر نشاں ہے
Usey jab tak hai teer-andaazi ka shauq
Zabooni par meri khaatir nishaan hai
उसे जब तक है तीर-अंदाज़ी का शौक़
ज़बूनी पर मेरी ख़ातिर निशाँ है
چلی جاتی ہے دھڑکوں ہی میں جاں بھی
یہیں سے کہتے ہیں جاں کو رواں ہے
Chali jaati hai dhadkon hi mein jaan bhi
Yaheen se kehte hain jaan ko rawaan hai
चली जाती है धड़कों ही में जाँ भी
यहीं से कहते हैं जाँ को रवाँ है

Classical
Mir Taqi Mir, known as Khuda-e-Sukhan, is a pioneer of classical Urdu poetry. He is celebrated for transforming deep personal grief and the fall of 18th-century Delhi into simple, timeless ghazals.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.