Ghazal Mir Ki Kab Padhaai Nahin
غزل میرؔ کی کب پڑھائی نہیں
ग़ज़ल मीरؔ की कब पढ़ाई नहीं
Ghazal
1 min readغزل میرؔ کی کب پڑھائی نہیں
کہ حالت مجھے غش کی آئی نہیں
Ghazal Mir ki kab padhaai nahin
Ke haalat mujhe ghash ki aayi nahin
زباں سے ہماری ہے صیاد خوش
ہمیں اب امید رہائی نہیں
Zabaan se hamaari hai saiyaad khush
Hamein ab umeed-e-rahaai nahin
کتابت گئی کب کہ اس شوخ نے
بنا اس کی گڈی اڑائی نہیں
Kitaabat gayi kab ke us shokh ne
Bina us ki gaddi udaai nahin
نسیم آئی میرے قفس میں عبث
گلستاں سے دو پھول لائی نہیں
Naseem aayi mere qafas meinabas
Gulistaan se do phool laai nahin
مری دل لگی اس کے رو سے ہی ہے
گل تر سے کچھ آشنائی نہیں
Meri dil lagi us ke ro se hi hai
Gul-e-tar se kuch aashnaai nahin
मेरी दिल-लगी उस के रो से ही है
गुल-ए-तर से कुछ आशनाई नहीं
نوشتے کی خوبی لکھی کب گئی
کتابت بھی ایک اب تک آئی نہیں
Nawishtay ki khoobi likhi kab gayi
Kitaabat bhi ek ab tak aayi nahin
جدا رہتے برسوں ہوئے کیونکہ یہ
کنایہ نہیں بے ادائی نہیں
Juda rehte barson huye kyonke yeh
Kinaya nahin be-adaai nahin

Classical
Mir Taqi Mir, known as Khuda-e-Sukhan, is a pioneer of classical Urdu poetry. He is celebrated for transforming deep personal grief and the fall of 18th-century Delhi into simple, timeless ghazals.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.