Main Ne Jo Be-Kasaana Majlis Mein Jaan Khoyi
میں نے جو بے کسانہ مجلس میں جان کھوئی
मैंने जो बे-कसाना मज्लिस में जान खोई
Ghazal
1 min readمیں نے جو بے کسانہ مجلس میں جان کھوئی
سر پر مرے کھڑی ہو شب شمع زور روی
Main ne jo be-kasaana majlis mein jaan khoyi
Sar par mire khadi ho shab shama zor royi
Aati hai shama shab ko aage tire yeh keh kar
Munh ki gayi jo loi to kya kare ga koi
Be-taaqati se aage kuchh poochhta bhi tha so
Rone ne har ghadi ke woh baat hi duboyi
Bulbul ki be-kali ne shab be-dimaagh rakha
Sone diya na hum ko zaalim na aap soyi
Us zulm pesha ki yeh rasm qadeem hai gi
Ghairon pe meharbaani yaaron se keenah-joi
Naubat jo hum se gaahay aati hai guftagu ki
Munh mein zabaan nahin hai us bad-zabaan ke goyee
Us mah ke jalwe se kuchh taa 'Mir' yaad dewe
Ab ke gharon mein hum ne sab chaandni hai boyi
मैंने जो बे-कसाना मज्लिस में जान खोई
सर पर मिरे खड़ी हो शब शमा ज़ोर रोई
आती है शमा शब को आगे तिरे यह कह कर
मुँह की गई जो लोई तो क्या करे गा कोई
बे-ताक़ती से आगे कुछ पूछता भी था सो
रोने ने हर घड़ी के वो बात ही डुबोई
बुलबुल की बे-कली ने शब बे-दिमाग़ रखा
सोने दिया न हम को ज़ालिम न आप सोई
उस ज़ुल्म पेशा की यह रस्म क़दीम है गी
ग़ैरों पे मेहरबानी यारों से कीनह-जोई
नौबत जो हम से गाहे आती है गुफ़्तगू की
मुँह में ज़बाँ नहीं है उस बद-ज़बाँ के गोई
उस मह के जल्वे से कुछ ता 'मीर' याद देवे
अब के घरों में हम ने सब चाँदनी है बोई

Classical
Mir Taqi Mir, known as Khuda-e-Sukhan, is a pioneer of classical Urdu poetry. He is celebrated for transforming deep personal grief and the fall of 18th-century Delhi into simple, timeless ghazals.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.