Mat Ho Maghroor Ae Ke Tujh Mein Zor Hai
مت ہو مغرور اے کہ تجھ میں زور ہے
मत हो मग़रूर ऐ कि तुझ में ज़ोर है
Ghazal
1 min readمت ہو مغرور اے کہ تجھ میں زور ہے
یاں سلیماں کے مقابل مور ہے
Mat ho maghroor ae ke tujh mein zor hai
Yaan Suleiman ke muqaabil mor hai
मत हो मग़रूर ऐ कि तुझ में ज़ोर है
याँ सुलेमाँ के मुक़ाबिल मोर है
مر گئے پر بھی ہے صولت فقر کی
چشم شیر اپنا چراغ گور ہے
Mar gaye par bhi hai saulat faqr ki
Chashm-e-sheer apna chiraagh-e-gor hai
मर गये पर भी है सौलत फ़क़्र की
चश्म-ए-शीर अपना चराग़-ए-गोर है
جب سے کاغذ باد کا ہے شوق اسے
ایک عالم اس کے اوپر ڈور ہے
Jab se kaaghaz-baad ka hai shauq use
Ek aalam us ke oopar dor hai
رہنمائی شیخ سے مت چشم رکھ
وائے وہ جس کا عصا کش کور ہے
Rehnumai sheikh se mat chashm rakh
Waaye woh jis ka asa-kash kor hai
لے ہی جاتی ہے زر گل کو اڑا
صبح کی بھی باؤ بادی چور ہے
Le hi jaati hai zar-e-gul ko udaa
Subah ki bhi baao-baadi chor hai

Classical
Mir Taqi Mir, known as Khuda-e-Sukhan, is a pioneer of classical Urdu poetry. He is celebrated for transforming deep personal grief and the fall of 18th-century Delhi into simple, timeless ghazals.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.