Na To Dil Ka Na Jaan Ka Daftar Hai
نہ تو دل کا نہ جاں کا دفتر ہے
न तो दिल का न जां का दफ़्तर है
Ghazal
1 min readvنہ تو دل کا نہ جاں کا دفتر ہے
زندگی اک زیاں کا دفتر ہے
Na to dil ka na jaan ka daftar hai
Zindagi ik ziyaan ka daftar hai
न तो दिल का न जां का दफ़्तर है
ज़िंदगी इक ज़ियां का दफ़्तर है
پڑھ رہا ہوں میں کاغذات وجود
اور نہیں اور ہاں کا دفتر ہے
Padh raha hoon main kaaghazaat-e-vajood
Aur nahin aur haan ka daftar hai
पढ़ रहा हूँ मैं काग़ज़ात-ए-वजूद
और नहीं और हाँ का दफ़्तर है
کوئی سوچے تو سوز کرب جاں
سارا دفتر گماں کا دفتر ہے
Koi soche to soz-e-karb-e-jaan
Saara daftar gumaan ka daftar hai
ہم میں سے کوئی تو کرے اصرار
کہ زمیں آسماں کا دفتر ہے
Hum mein se koi to kare israar
Ke zameen aasmaan ka daftar hai
ہجر تعطیل جسم و جاں ہے میاں
وصل جسم اور جاں کا دفتر ہے
Hijr ta'teel-e-jism-o-jaan hai miyan
Vasl jism aur jaan ka daftar hai
हिज्र त'तील-ए-जिस्म-ओ-जाँ है मियां
वस्ल जिस्म और जां का दफ़्तर है
وہ جو دفتر ہے آسمانی تر
وہ میاں جی یہاں کا دفتر ہے
Woh jo daftar hai aasmaani-tar
Woh miyan ji yahan ka daftar hai
ہے جو بود و نبود کا دفتر
آخرش یہ کہاں کا دفتر ہے
Hai jo bood-o-nabood ka daftar
Aakhirash yeh kahan ka daftar hai
جو حقیقت ہے دم بہ دم کی یاد
وہ تو اک داستاں کا دفتر ہے
Jo haqeeqat hai dam-ba-dam ki yaad
Woh to ik daastaan ka daftar hai
ہو رہا ہے گزشتگاں کا حساب
اور آئندگاں کا دفتر ہے
Ho raha hai guzashtagaan ka hisaab
Aur aaindagaan ka daftar hai
हो रहा है गुज़श्तगां का हिसाब
और आइन्दगां का दफ़्तर है

One of the most prominent and unconventional modern Urdu poets, Jaun Elia captured the hearts of the masses through his stark vulnerability, radical disillusionment, and revolutionary poetic voice.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.