Gul-o-Bulbul Bahaar Mein Dekha
گل و بلبل بہار میں دیکھا
गुल-ओ-बुलबुल बहार में देखा
Ghazal
1 min readگل و بلبل بہار میں دیکھا
ایک تجھ کو ہزار میں دیکھا
Gul-o-bulbul bahaar mein dekha
Ek tujh ko hazaar mein dekha
गुल-ओ-बुलबुल बहार में देखा
एक तुझ को हज़ार में देखा
جل گیا دل سفید ہیں آنکھیں
یہ تو کچھ انتظار میں دیکھا
Jal gaya dil safed hain aankhen
Ye to kuchh intezaar mein dekha
जल गया दिल सफ़ेद हैं आँखें
ये तो कुछ इंतिज़ार में देखा
جیسا مضطر تھا زندگی میں دل
ووہیں میں نے قرار میں دیکھا
Jaisa muztar tha zindagi mein dil
Woheen main ne qaraar mein dekha
آبلے کا بھی ہونا دامن گیر
تیرے کوچے کے خار میں دیکھا
Aable ka bhi hona daaman-geer
Tere kooche ke khaar mein dekha
تیرہ عالم ہوا یہ روز سیاہ
اپنے دل کے غبار میں دیکھا
Teerah aalam hua ye roz-e-siyaah
Apne dil ke ghubaar mein dekha

Classical
Mir Taqi Mir, known as Khuda-e-Sukhan, is a pioneer of classical Urdu poetry. He is celebrated for transforming deep personal grief and the fall of 18th-century Delhi into simple, timeless ghazals.
View Full Profile →


Comments
Loading comments…
No comments yet — be the first to share your thoughts.